Thursday, November 23, 2017

Mushkil Hai Ke ab Shahar Mein Nikle Koi Ghar Se

Mushkil hai ke ab shahar mein nikle
koi ghar se,

Dastaar pe baat aa gayi hoti
hui sar se,

Barsa bhi to kis dasht ke be-faiz
badan par,

Ek umr mere khet the jis abr
ko tarse,

Kal raat jo eendhan ke liye kat
ke gira hai,

chidiyo'n ko bada pyaar tha us boodhe
shajar se,

Mehnat meri aandhi se to mansoob
nahin thi,

Rahna tha koi rabt shajar ka bhi
samar se,

Khud apne se milne ka to yaara na
tha mujh mein,

Main bheed mein gum ho gayi tanhaai
ke darr se,

Be-naam masaafat hi muqaddar hai
to kya gham,

Manzil ka ta'ayyun kabhi hota hai
safar se,

Pathraaya hai dil yoon ke koi ism
padha jaaye,

Ye shahar nikalta nahin jaadoo ke
asar se,

Nikle hain to rastey mein kahin shaam
bhi hogi,

Sooraj bhi magar aayega is
rahguzar se..!!

- Parween Shakir
___
Dastaar = turban (generally meant for courtiers)
Be-faiz = miserly, not bestowing any, benefit,
Abr = cloud,
Mansoob = appointed, nominated, fixed, related to manifestation,
Rabt = connection, relation, bond, intimacy,
Samar = fruit,
Yaara = strength, courage,
Masaafat = journey,
Ta'ayyun = appointing, establishing,
Ism = name of a person,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...