Guzre jo apne yaaron ki sohbat mein chaar din,
Aisa laga basar hue jannat mein chaar din,
Umr-e-khizar ki us ko tamanna kabhi na ho,
Insaan ji sake jo mohabbat mein chaar din,
Jab tak jiye nibhayenge hum un se dosti,
Apne rahe jo dost museebat mein chaar din,
Ai jaan-e-aarzoo wo qayaamat se kam na the,
Kaate tere baghair jo ghurbat mein chaar din,
Phir umr bhar kabhi na sukoo'n pa saka ye dil,
Katne the jo bhi katt gaye raahat mein chaar din,
Jo faqr mein suroor hai shaahi mein wo kahaan,
Hum bhi rahe hain nasha-e-daulat mein chaar din,
Us aag ne jala ke ye dil raakh kar diya,
Uthte the 'Josh' shoale jo wahshat mein chaar din..!!
_ A G Josh
_____________
Sohbat = association, company, meeting,
साथ, संगत, महफि़ल, मिलना जुलना,
Umr-e-khizar = age of Khizar-Khizar is supposed to have been granted immortality-allusion,
Faqr = poverty, the practice or vocation of a faqeer or dervish, acceptance of life of poverty with resignation and content, ascetic,
Shaahi = royal, regal,
Nasha-e-daulat = intoxication of wealth,
_______________
No comments:
Post a Comment