Agarche zor hawaaon ne daal rakha hai,
Magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai,
Mohabton main to milna hai ya ujad jaana,
Mizaaj-e-ishq main kab etidaal rakha hai,
Hawa mein nashsha hi nashsha fazaa mein rang hi rang
Ye kis ne pairahan apna uchhaal rakkha hai,
Bhale dino'n ka bharosa hi kya rahein na rahein,
So maine rishta-e-ghum ko bahaal rakha hai,
Hum aise saada-dilo'n ko wo dost ho ke khuda
Sabhi ne waada-e-farda pe taal rakkha hai,
Hisaab-e-lutf-e-hareefaa'n kiya hai jab to khula
Ke dosto'n ne zyaada khayaal rakkha hai,
Bhari bahaar main ek shaakh pr khilaa hai gulaab,
Ke jaise tu ne hatheli pe gaal rakha hai,
Faraz ishq ki duniya to khoobsurat thi,
Yeh kis ne fitna-e-hijr-o-wisaal rakha hai..!!
_ Ahmad Faraz
___
Aitidaal = moderation,
Pairahan = dress, apparel,
Waada-e-farda = promise which is never fulfilled, promise to meet on the next day,
Fitna-e-hijr-o-wisaal = calamity of separation and union,
_______________
No comments:
Post a Comment