Sunday, November 26, 2017

Us Ne Sukoot-e-shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya

Us ne sukoot-e-shab main bhi apna payaam rakh diya,
Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya,

Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafaa main
aam thi,
Main ne bhi ek charaagh sa dil sar-e- shaam rakh diya,

Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-may-kashi rahi,
Us ne jo pher li nazar main bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe,
Main ne to us ke paaon main saara kalaam rakh diya,

Dekho yeh mere khwaab they dekho yeh mere zakhm hain,
Main ne to sab hisaab-e-jaan bar-sar-e- aam rakh diya,

Ab ke bahaar ne bhi kee'n aasi sharaartein ke bas,
Kabk-e-dari ki chaal main tera khiraam rakh diya,

Jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e- yaar tha,
Us ne to saare shahar ko kar ke ghulaam rakh diya,

Aur faraz chahiyein kitni mohabbtein tujhe,
Maao'n ne tere naam pr bachchon ka naam rakh diya..!!

_ Ahmad Faraz
___

Sukoot-e-shab = silence of night,
Maah-e-tamaam = full moon,
Aamad-e-dost = friend's visit,
Naveed = good new,
Koo-e-wafa = street of constancy,
Sar-e-shaam = evening time,
Shiddat-e-tishnagi = intensity of thirst,
Ghairat-e-may'kashi = dignity of drinking,
Sukhan = speech,words,
Hisaab-e-jaa'n = account of life,
Bar-sar-e-aam = in public,
Kabk-e-dari = partridge,
Khiraam = graceful walk/ gait,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...