Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata,
Woh shakhs koi faisla kar bhi nahin jata,
Ankhein hain ke khaali nahin rahti hain lahoo se,
Aur zakham-e-judaai hai ke bhar bhi nahin jata,
Woh raahat-e-jaa'n hain magar is dar-badri main,
Aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahin jata,
Hum dohri aziyat ke giraftaar musaafir,
Paaon bhi hain shal, shauq-e-safar bhi nahin jata,
Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai,
Aur tujh se bichharh jaane ka darr bhi nahin jata,
Paagal huye jaate ho ‘faraz’ us se mile kya,
Itni si khushi se koi mar bhi nahin jata..!!
_ Ahmad Faraz
___
Shal = insensitive,
No comments:
Post a Comment