Friday, November 24, 2017

Adaa Se Dekh Lo Jaata Rahe Gila Dil Ka

Adaa se dekh lo jaata rahe gila dil ka,
Bas ek nigaah pe thehra hai faisla dil ka.. 

Wo zulm karte hain mujh par to log kahte hain,
Khuda bure se na daale muaamla dil ka.. 

Phira jo koocha-e-kaakul se koi poochhenge,
Suna hai lut gaya raste mein qaafila dil ka..

Hazaar fasl-e-gul aaye junoon wo josh kahaan,
Gaya shabaab ke humraah walwala dil ka..

Bahaar aate hi kunj-e-qafas naseeb hua,
Hazaar haif ke nikla na hausla dil ka..

Ilaahi khair ho kuchh aaj rang be-dhab hai,
Tapak raha hai kayi din se aabla dil ka..

Khuda ke haath hai ab apna ai 'qalaq' insaaf,
Buto'n se hashr mein hoga muqaabla dil ka..!!

'Aaftab-ud-daula Lakhnavi Qalaq'
__________

Koocha-e-kaakul = lane of beloved's tresses,
Walwala = fervour, ardour, spirit,
Kunj-e-qafas = grove/ nook of a cage
पिंजरे का कोना,
Haif = inequity, pity, Ah!, Alas!
अफ़्सोस,
Be-dhab = ill-shaped, odd, unmannerly, awkward,
_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...