Wednesday, November 29, 2017

Bichhadne Waale Tujhe Khabar Hai

Bichhadne Waale Tujhe Khabar Hai.?..
Ke Tere Jaane Se Mera Jeevan
Hazaar Khaano'n Mein Bat Gaya Hai.!..

Tujhe Khabar Hai Bichhadne Waale.?..
Ke Meri Khushiya'n Hi Kho Gayi'n Hain,
Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya Hoon,
Wajood Mera To Is Safar Mein
Ye Dekh...Zakhmo'n Se At Gaya Hai.!..

Main Sochta Hoon...
Magar Ye Sochein
Koi Ek Nuqte Pe Jam Gayi'n Hain...
Kyun Lag Raha Hai.?..
Ke Jaise Saans Hi Tham Gayi Hai.!..

Mujhe Bata De, Bichhadne Waale...
Ke Kaise Khud Ko Sambhaalna Hai,
Hijr Ke Raste Pe Chalte Chalte
Ye Paao'n Mere Lahoo Lahoo Hain...
Yaqeen Kar Le Main Thak Gaya Hoon.!..

Bichhadne Waale Tujhe Khabar Hai.?..
Main Kab Ka Khud Se Bichhad Chuka Hoon..!!

ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﺗُﺠﮭﮯ ﺧﺒﺮ ﮨﮯ؟
ﮐﮧ ﺗِـﯿﺮﮮ ﺟﺎﻧﮯ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﺍ ﺟﯿﻮﻥ
ﮨﺰﺍﺭ ﺧﺎﻧﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﭧ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ
ﺗُﺠﮭﮯ ﺧﺒﺮ ﮨﮯ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ؟
ﮐﮧ ﻣﯿﺮﯼ ﺧُﻮﺷﯿﺎﮞ ﮨﯽ ﮐﮭﻮ ﮔﺌﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﮟ ﮐﺘﻨﺎ ﺗﻨﮩﺎ ﺳﺎ ﮨﻮﮔﯿﺎ ﮨُـﻮﮞ
ﻭﺟﻮﺩ ﻣﯿﺮﺍ ﺗﻮ ﺍﺱ ﺳﻔﺮ ﻣﯿﮟ
ﯾﮧ ﺩﯾﮑﮫ ﺯﺧﻤﻮﮞ ﺳﮯ ﺍَﭦ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﺳﻮﭼﺘﺎ ﮨُـﻮﮞ .....!!ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﺳﻮﭼﯿﮟ
ﮐﯿﻮﮞ ﺍﯾﮏ ﻧﻘﻄﮯ ﭘﮧ ﺟﻢ ﮔﺌﯽ ﮨﯿﮟ
ﮐﯿﻮﮞ ﻟﮓ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ
ﮐﮧ ﺟﯿﺴﮯ ﺳﺎﻧﺴﯿﮟ ﮨﯽ ﺗﮭﻢ ﮔﺌﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣُﺠﮭﮯ ﺑﺘﺎ ﺩﮮ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ
ﮐﮧ ﮐﯿﺴﮯ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺳﻨﺒﮭﺎﻟﻨﺎ ﮨﮯ
ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺭﺳﺘﮯ ﭘﮧ ﭼﻠﺘﮯ ﭼﻠﺘﮯ
ﯾﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺅﮞ ﻟﮩُﻮ ﻟﮩُﻮ ﮨﯿﮟ
ﯾﻘﯿﻦ ﮐﺮ ﻟﮯ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﮏ ﮔﯿﺎ ﮨُـﻮﮞ
ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ .....!!ﺗُﺠﮭﮯ ﺧﺒﺮ ﮨﮯ؟؟؟
ﻣﯿﮟ ﮐﺐ ﮐﺎ ﺧُﻮﺩ ﺳﮯ ﺑﭽﮭﮍ ﭼُﮑﺎ ﮨُـﻮﮞ ..
___________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...