Wednesday, November 29, 2017

Udaasiyo'n Ka Sabab Jo Likhna

Udaasiyo'n Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
Ke Chaand, Taare, Shahaab, Aankhain Badal Gaye Hain...
Wo Zinda Lamhey Jo Teri Raaho'n Mein
Tere Aaney Ke Muntazir They,
Wo Thak Ke Saayo'n Mein Dhhal Gaye Hain...
Wo Teri Yaadein, Khyaal Tere,
Wo Ranj Tere, Malaal Tere,
Wo Teri Aankhein,
Sawaal Tere,
Wo Tum Se Mere Tamaam Rishtey Bichhad Gaye Hain...
Ujad Gaye Hain...
Udaasiyo'n Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna...
Laraztey Hontho'n Pe Ladkhadaati
Duaa Ke Sooraj Pighal Gaye Hain,
Tamaam Sapney Hi Jal Gaye Hain..!!
_______________________________

اداسیوں کا سبب جو لکھنا
تو یہ بھی لکھنا
کہ چاند, تارے,شہاب,آنکھیں بدل گئے ہیں
وہ زندہ لمحے جو تیری راہوں میں
تیرے آنے کے منتظر تھے
وہ تھک کے سایوں میں ڈھل گئے ہیں
وہ تیری یادیں,خیال تیرے,
وہ رنج تیرے, ملال تیرے
وہ تیری آنکھیں
سوال تیرے
وہ تم سے میرے تمام رشتے بچھڑ گئے ہیں,
اُجڑ گئے ہیں
اُداسیوں کا سبب جو لکھنا
تو یہ بھی لکھنا
لرزتے ہونٹوں پہ لڑکھڑاتی
دعا کے سُورج پگھل گئے ہیں
تمام سپنے ہی جل گئے ہیں۔۔!!
_____________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...