Wednesday, November 29, 2017

Wo De Raha Hai Dilaase To Umr Bhar Ke

Wo De Raha Hai Dilaase To Umr Bhar Ke Mujhe,
Bichhad Na Jaaye Kahi'n Phir Udaas Kar Ke Mujhe...

Jahaan Na Tu Na Teri Yaad Ke Qadam Honge,
Dara Rahe Hain Wahi Marhale Safar Ke Mujhe...

Hawa-e-dast Mujhe Ab Tu Ajnabi Na Samajh,
Ke Ab To Bhool Gaye Raaste Bhi Ghar Ke Mujhe...

Dil-e-tabaah Tere Ghum Ko Taalne Ke Liye,
Suna Raha Hai Fasaane Idhar Udhar Ke Mujhe...

Qabaa-e-zakhm Badan Par Saja Ke Nikla Hoon,
Wo Ab Mila Bhi To Dekhega Aankh Bhar Ke Mujhe...

Kuch Is Liye Bhi Main Us Se Bichhad Gaya "Mohsin",
Wo Door Door Se Dekhe, Thehar Thehar Ke Mujhe..!!
____________________________________

وہ دے رہا ہے دِلاسے تو عمر بھر کے مجھے
بچھڑ نہ جائے کہیں پھِر اُداس کر کے مجھے

جہاں نہ تو نہ تیری یاد کے قدم ہونگے
ڈرا رہے ہیں وہی مرحلے سفر کے مجھے

ہوائے دشت مجھے اب تو اجنبی نہ سمجھ
کہ اب تو بھول گئے راستے بھی گھر کے مجھے

دلِ تباہ تیرے غم کو ٹالنے کے لئے
سُنا رہا ہے فسانے اِدھر اُدھر کے مجھے

قبائے زخم بدن پر سجا کے نِکلا ہوں
وہ اب مِلا بھی تو دیکھے گا آنکھ بھر کے مجھے

کچھ اِس لئے بھی میں اُس سے چھِڑ گیا محسِن
وہ دور دور سے دیکھے ٹھہر ٹھہر کے مجھے ،،،،،،،
_______________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...