Bujhne na do charagh-e-wafa jaagte raho,
Paagal hui hai ab ke hawa jaagte raho...
Sajdon mein hai khuloos to phir chandni ke saath,
Utrega aanganon mein khuda jaagte raho...
Alfaaz so na jaayen kitaabon ko odh kar,
Danishwaraan-e-qaum zara jaagte raho...
Kaisa ajeeb shor hai basti mein aaj kal,
Har ghar se aa rahi hai sada jaagte raho...
Pahle to us ki yaad ne sone nahin diya,
Phir us ki aahaton ne kaha jaagte raho...
Phoolon mein khushbuon mein sitaaron mein chaand mein,
Kholega koi band-e-qaba jaagte raho...
Tum bhi suno ke shahr-e-khamoshaa'n mein raat din,
Sannaate de rahe hain sada jaagte raho...
Jab bhi qalam ko mere kabhi aayin jhapkiyaan,
Aankhon ne aansuon se likha jaagte raho...
'Mansoor' ratjage to muqaddar hain aap ka,
Jab tak jale sukhan ka diya jaagte raho.!!
"Mansoor Usmani"
No comments:
Post a Comment