Shabnam ko ret phool ko kaanta bana diya,
Hum ne to apne baagh ko sahra bana diya,
Is oonch neech par to theharte nahin the paanw,
Kis dast-e-shauq ne ise duniya bana diya,
Kin mutthiyon ne beej bikhere zameen par,
Kin baarishon ne is ko tamasha bana diya,
Sairaab kar diya teri mauj-e-khiraam ne,
Rakkha jahaan qadam wahaan dariya bana diya,
Ek raat chaandni mere bistar pe aai thi,
Main ne taraash kar tera chehra bana diya,
Poochhe agar koi to use kya bataaun main,
Dil kya tha, tere ghum ne ise kya bana diya..!!
"Ahmad Mushtaq"
No comments:
Post a Comment