Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rahta hai,
Wo isi shahar ki galiyon mein kahin rahta hai,
Jis ki saanson se mahakte the dar-o-baam tere,
Ai makaan bol kahaan ab wo makeen rahta hai,
Ek zamana tha ke sab ek jagah rahte the,
Aur ab koi kahin koi kahin rahta hai,
Roz milne pe bhi lagta tha ki jug beet gaye,
Ishq mein waqt ka ahsaas nahin rahta hai,
Dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin,
Umr bhar kaun jawaan kaun haseen rahta hai..!!
"Ahmad Mushtaq"
No comments:
Post a Comment