Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain,
So us ke shahr mein kuchh din thehar ke dekhte hain..
Suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se,
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain..
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki,
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain..
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayiri se shaghaf,
So hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain..
Suna hai bole to baaton se phool jhadte hain,
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain..
Suna hai raat use chaand takta rahta hai,
Sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain..
Suna hai din ko use titliyaan sataati hain,
Suna hai raat ko jugnu thehar ke dekhte hain..
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhein,
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain..
Suna hai raat se badh kar hain kaakulein us ki,
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain..
Suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai,
So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain..
Suna hai us ke labon se gulaab jalte hain,
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain..
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki,
Jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain..
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan mein,
Mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain..
Suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkaan mein,
Palang zaawiye us ki kamar ke dekhte hain..
Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai,
Ke phool apni qabaaen katar ke dekhte hain..
Wo sarw-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin,
Ke us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain..
Bas ek nigaah se lut ta hai qaafila dil ka,
So rah-rawaan-e-tamanna bhi darr ke dekhte hain..
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht,
Makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain..
Ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain,
Chale to us ko zamane thehar ke dekhte hain..
Kise naseeb ke be-pairahan use dekhe,
Kabhi kabhi dar-o-diwaar ghar ke dekhte hain..
Kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi,
Agar wo khwab hai tabeer kar ke dekhte hain..
Ab us ke shahr mein thehrein ke kooch kar jaayen,
'Faraz' aao sitare safar ke dekhte hain..!!
"Ahmad Faraz"
______________________________________________
Shaghaf= ardour, zeal, enthusiasm,
रुचि, दिलचस्पी, तल्लीनता,
Ghazaal= a young deer, a fawn, a young delicate person,
Kaakulein= tresses,
Siyah Chashmagi= dark eyes,
Timsaal= resemblance, picture, figure,
Hamaail= something hanging around the neck,
Palang= एक हिंसक जन्तु, तदुआ, जो इसका अर्थ चीता करते हैं, ग़लत करते हैं ,
Zaawiye= angle,
Sarw-qad= Tall And Graceful
लम्बे क़द वाला महबूब, एक लम्बा पहाड़ी पेड़, जिससे महबूब के क़द की उपमा दी जाती है,
Be-gul-e-muraad= without the flower of fulfilment,
Shagoofe= buds,
Rah-rawaan-e-tamanna= fellow travellers of desire,
Muttasil= adjoining, touching, near, continuous
नज़दीक, पास,
Mubaalghe= exaggeration,
______________________________
सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं
सो उस के शहर में कुछ दिन ठहर के देखते हैं
सुना है रब्त है उस को ख़राब-हालों से
सो अपने आप को बरबाद कर के देखते हैं
सुना है दर्द की गाहक है चश्म-ए-नाज़ उस की
सो हम भी उस की गली से गुज़र के देखते हैं
सुना है उस को भी है शेर ओ शाइरी से शग़फ़
सो हम भी मो'जिज़े अपने हुनर के देखते हैं
सुना है बोले तो बातों से फूल झड़ते हैं
ये बात है तो चलो बात कर के देखते हैं
सुना है रात उसे चाँद तकता रहता है
सितारे बाम-ए-फ़लक से उतर के देखते हैं
सुना है दिन को उसे तितलियाँ सताती हैं
सुना है रात को जुगनू ठहर के देखते हैं
सुना है हश्र हैं उस की ग़ज़ाल सी आँखें
सुना है उस को हिरन दश्त भर के देखते हैं
सुना है रात से बढ़ कर हैं काकुलें उस की
सुना है शाम को साए गुज़र के देखते हैं
सुना है उस की सियह-चश्मगी क़यामत है
सो उस को सुरमा-फ़रोश आह भर के देखते हैं
सुना है उस के लबों से गुलाब जलते हैं
सो हम बहार पे इल्ज़ाम धर के देखते हैं
सुना है आइना तिमसाल है जबीं उस की
जो सादा दिल हैं उसे बन-सँवर के देखते हैं
सुना है जब से हमाइल हैं उस की गर्दन में
मिज़ाज और ही लाल ओ गुहर के देखते हैं
सुना है चश्म-ए-तसव्वुर से दश्त-ए-इम्काँ में
पलंग ज़ाविए उस की कमर के देखते हैं
सुना है उस के बदन की तराश ऐसी है
कि फूल अपनी क़बाएँ कतर के देखते हैं
वो सर्व-क़द है मगर बे-गुल-ए-मुराद नहीं
कि उस शजर पे शगूफ़े समर के देखते हैं
बस इक निगाह से लुटता है क़ाफ़िला दिल का
सो रह-रवान-ए-तमन्ना भी डर के देखते हैं
सुना है उस के शबिस्ताँ से मुत्तसिल है बहिश्त
मकीं उधर के भी जल्वे इधर के देखते हैं
रुके तो गर्दिशें उस का तवाफ़ करती हैं
चले तो उस को ज़माने ठहर के देखते हैं
किसे नसीब कि बे-पैरहन उसे देखे
कभी कभी दर ओ दीवार घर के देखते हैं
कहानियाँ ही सही सब मुबालग़े ही सही
अगर वो ख़्वाब है ताबीर कर के देखते हैं
अब उस के शहर में ठहरें कि कूच कर जाएँ
'फ़राज़' आओ सितारे सफ़र के देखते हैं !
______________________________
No comments:
Post a Comment