Friday, August 10, 2018

Uthi Phir Dil Mein Ek Mauj-e-shabaab Aahista Aahista

Uthi phir dil mein ek mauj-e-shabaab aahista aahista,
Kuchh aaya zindagi mein inqilaab aahista aahista...

Sama kar mujh mein wo jaan-e-shabaab aahista aahista,
Bana dega mujhe apna jawaab aahista aahista...

Ye mahfil zahidaan-e-khushk ki mahfil hai ai rindo,
Zara is bazm mein zikr-e-sharaab aahista aahista...

Meri nazrein mujhi ko rafta rafta bhool jaati hain,
Hue jaate hain jalwe kaamyab aahista aahista...

Na kahiye haan na kahiye aap ko mujh se mohabbat hai,
Nigaahein khud hi de dengi jawaab aahista aahista...

'Shakil' is darja mayuooi shuru-e-ishq mein kaisi,
Abhi to aur hona hai kharaab aahista aahista.!!

"Shakeel Badayuni"
_______________

Zahidaan-e-khushk = teetotallers, dry devout people,
____________________



اٹھی پھر دل میں اک موج شباب آہستہ آہستہ
کچھ آیا زندگی میں انقلاب آہستہ آہستہ..

سما کر مجھ میں وہ جان شباب آہستہ آہستہ
بنا دے گا مجھے اپنا جواب آہستہ آہستہ..

یہ محفل زاہدان خشک کی محفل ہے اے رندو
ذرا اس بزم میں ذکر شراب آہستہ آہستہ..

مری نظریں مجھی کو رفتہ رفتہ بھول جاتی ہیں
ہوئے جاتے ہیں جلوے کامیاب آہستہ آہستہ..

نہ کہئے ہاں نہ کہئے آپ کو مجھ سے محبت ہے
نگاہیں خود ہی دے دیں گی جواب آہستہ آہستہ.. 

شکیلؔ اس درجہ مایوسی شروع عشق میں کیسی
ابھی تو اور ہونا ہے خراب آہستہ آہستہ.. 

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...