Numayaan dono'n jaanib shaan-e-fitrat hoti jaati hai,
Unhein mujh se mujhe un se mohabbat hoti jaati hai..!
Meri shaam-e-alam subah-e-masarrat hoti jaati hai,
Ke har lahza tere milne ki surat hoti jaati hai..!
Nigaahein muztarib, utra hua chehra zabaan saakit,
Jo thi apni wahi ab un ki haalat hoti jaati hai..!
Na kyun hon is ada par ishq ki khuddariyan sadqe,
Unhein rudaad-e-ghum sun sun ke hairat hoti jaati hai..!
Kahin raaz-e-mohabbat aasman par bhi na khul jaaye,
Mujhe aah-o-fughaa'n karne ki aadat hoti jaati hai..!
Mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham,
Mohabbat jitni badhti hai shikayat hoti jaati hai..!
'Shakeel' un ki judaai mein hai lutf-e-zindagi zaail,
Nazar be-kaif, afsurda tabiyat hoti jaati hai..!!
"Shakeel Badayuni"
_______________
Zaail = vanishing, perishing, declining,
____________________
نمایاں دونوں جانب شان فطرت ہوتی جاتی ہے
انہیں مجھ سے مجھے ان سے محبت ہوتی جاتی ہے..
مری شام الم صبح مسرت ہوتی جاتی ہے
کہ ہر لحظہ ترے ملنے کی صورت ہوتی جاتی ہے..
نگاہیں مضطرب اترا ہوا چہرہ زباں ساکت
جو تھی اپنی وہی اب ان کی حالت ہوتی جاتی ہے..
نہ کیوں ہوں اس ادا پر عشق کی خودداریاں صدقے
انہیں روداد غم سن سن کے حیرت ہوتی جاتی ہے..
کہیں راز محبت آسماں پر بھی نہ کھل جائے
مجھے آہ و فغاں کرنے کی عادت ہوتی جاتی ہے..
محبت ہی میں ملتے ہیں شکایت کے مزے پیہم
محبت جتنی بڑھتی ہے شکایت ہوتی جاتی ہے..
شکیلؔ ان کی جدائی میں ہے لطف زندگی زائل
نظر بے کیف افسردہ طبیعت ہوتی جاتی ہے..
No comments:
Post a Comment