Kya tarz-e-kalaam ho gayi hai,
Har baat payam ho gayi hai..
Kuchh zahar na thi sharaab-e-angoor,
Kya cheez haraam ho gayi hai..
Aage to nahin nahin suni thi,
Ab takiya-kalaam ho gayi hai..
Jaate jaate payam-bar ko,
Har subah se shaam ho gayi hai..
Ab dekhiye mashq-e-payemaali,
Tareef-e-khiraam ho gayi hai..
Pahunche hain jab us ki bazm mein hum,
Majlis hi tamaam ho gayi hai..
Aalam ko hai daawa-e-mohabbat,
Ye khas bhi aam ho gayi hai.!
Us but ke humin nahin hain bande..
Makhlooq ghulaam ho gayi hai.!
Barbaad na hogi teri ulfat,
Tajweez maqaam ho gayi hai..
Jaageer junoon ki qais ke baad,
Ab 'Dagh' ke naam ho gayi hai.!!
"Dagh Dehlvi"
_______________
Mashq-e-payemaali = rehearsal for ruin,
Tareef-e-khiraam = praise of walk, promenade,
Tajweez = scheme, plan, proposal, view,
____________________
کیا طرز کلام ہو گئی ہے
ہر بات پیام ہو گئی ہے..
کچھ زہر نہ تھی شراب انگور
کیا چیز حرام ہو گئی ہے..
آگے تو نہیں نہیں سنی تھی
اب تکیہ کلام ہو گئی ہے..
جاتے جاتے پیام بر کو
ہر صبح سے شام ہو گئی ہے..
اب دیکھیے مشق پائمالی
تعریف خرام ہو گئی ہے..
پہنچے ہیں جب اس کی بزم میں ہم
مجلس ہی تمام ہو گئی ہے..
عالم کو ہے دعوی محبت
یہ خاص بھی عام ہو گئی ہے..
اس بت کے ہمیں نہیں ہیں بندے
مخلوق غلام ہو گئی ہے..
برباد نہ ہوگی تیری الفت
تجویز مقام ہو گئی ہے..
جاگیر جنوں کی قیس کے بعد
اب داغؔ کے نام ہو گئی ہے..
No comments:
Post a Comment