Karne do agar qattaal-e-jahaan talwaar ki baatein karte hain,
Arzaa'n nahin hota un ka lahu jo pyaar ki baatein karte hain..
Ye aish-o-tarab ke matwaale bekaar ki baatein karte hain,
Paayel ke gham'on ka ilm nahin jhankaar ki baatein karte hain..
Na-haq hai hawas ke bando'n ko nazzara-e-fitrat ka daawa,
Aankhon mein nahin hai binaai deedar ki baatein karte hain..
Ghum mein bhi raha ahsaas-e-tarab dekho to humari nadaani,
Veerane mein saari umr kati gulzaar ki baatein karte hain..
Be-naqd-e-amal jannat ki talab kya shay hain janaab-e-waaiz bhi,
Mutthi mein nahin hain daam-o-diram bazaar ki baatein karte hain..
Kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai naam usi ka naaseh bhi,
Wo log jo rah kar saahil par manjdhaar ki baatein karte hain..
Pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naaz-e-safar,
Chalne ka jinhein maqdoor nahin raftaar ki baatein karte hain..
Ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'Shakeel' in sab ke jigar,
Faaqo'n se hain dil murjhaye su-e-daar ki baatein karte hain.!!
"Shakeel Badayuni"
_______________
Qattaal-e-jahaan = slayer of world,
Arzaa'n = of lesser value, cheap,
Ahsaas-e-tarab = feeling of joy,
Maqdoor = power/ authority,
Su-e-daar = towards gallows,
____________________
کرنے دو اگر قتال جہاں تلوار کی باتیں کرتے ہیں
ارزاں نہیں ہوتا ان کا لہو جو پیار کی باتیں کرتے ہیں..
یہ عیش و طرب کے متوالے بے کار کی باتیں کرتے ہیں
پائل کے غموں کا علم نہیں جھنکار کی باتیں کرتے ہیں..
نا حق ہے ہوس کے بندوں کو نظارۂ فطرت کا دعویٰ
آنکھوں میں نہیں ہے بینائی دیدار کی باتیں کرتے ہیں..
غم میں بھی رہا احساس طرب دیکھو تو ہماری نادانی
ویرانے میں ساری عمر کٹی گلزار کی باتیں کرتے ہیں..
بے نقد عمل جنت کی طلب کیا شے ہیں جناب واعظ بھی
مٹھی میں نہیں ہیں دام و درم بازار کی باتیں کرتے ہیں..
کہتے ہیں انہیں کو دشمن دل ہے نام اسی کا ناصح بھی
وہ لوگ جو رہ کر ساحل پر منجدھار کی باتیں کرتے ہیں..
پہنچے ہیں جو اپنی منزل پر ان کو تو نہیں کچھ ناز سفر
چلنے کا جنہیں مقدور نہیں رفتار کی باتیں کرتے ہیں..
یہ اہل قلم یہ اہل ہنر دیکھو تو شکیلؔ ان سب کے جگر
فاقوں سے ہیں دل مرجھائے سوئے دار کی باتیں کرتے ہیں..
No comments:
Post a Comment