Nahin ke apna zamana bhi to nahin aaya,
Humein kisi se nibhana bhi to nahin aaya...
Jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak,
Tumhein charaagh bujhana bhi to nahin aaya...
Naye makaan banaye to faaslon ki tarah,
Humein ye shahr basana bhi to nahin aaya...
Wo poochhta tha meri aankh bheegne ka sabab,
Mujhe bahana banana bhi to nahin aaya...
'Waseem' dekhna mud mud ke wo usi ki taraf,
Kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment