Mili hawaon mein udne ki wo saza yaaro,
Ke main zameen ke rishton se kat gaya yaaro...
Wo be-khyaal musafir mein raasta yaaro,
Kahaan tha bas mein mere us ko rokna yaaro...
Mere qalam pe zamane ki gard aisi thi,
Ke apne baare mein kuchh bhi na likh saka yaaro...
Tamaam shahr hi jis ki talaash mein gum tha,
Main us ke ghar ka pata kis se poochhta yaaro...
Jo be-shumaar dilon ki nazar mein rahta tha,
Wo apne bachchon ko ek ghar na de saka yaaro...
Janab-e-'Meer' ki khud-gharziyon ke sadqe mein,
Miyaan 'Waseem' ke kahne ko kya bacha yaaro.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment