Monday, July 2, 2018

Meri Wafaon Ka Nashsha Utaarne Waala

Meri wafaon ka nashsha utaarne waala,
Kahaan gaya mujhe hans hans ke haarne waala...

Humari jaan gayi jaaye dekhna ye hai,
Kahin nazar mein na aa jaaye maarne waala...

Bas ek pyar ki baazi hai be-gharaz baazi, 
Na koi jeetne waala na koi haarne waala...

Bhare makaan ka bhi apna nasha hai, kya jaane,
Sharab-khane mein raatein guzaarne waala...

Main us ka din bhi zamane mein baant kar rakh dun,
Wo meri raaton ko chhup kar guzaarne waala...

'Waseem' hum bhi bikharne ka hausla karte,
Humein bhi hota jo koi sanwaarne waala.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...