Hazaar khwab liye ji rahi hain sab aankhein,
Tere bina hain magar meri be-sabab aankhein...
Chamakte chaand sitaaro gawah tum rahna,
Lagi rahi hain falak se tamaam shab aankhein...
Tumhaare saamne rahti hain neem-wa humdam,
Haya-shanaas bahut hain ye ba-adab aankhein...
Bas ek deed ki hasrat saja ke palkon par,
Milengi tum se khyaalon mein be-talab aankhein...
Sila diya hai mohabbat ka tum ne ye kaisa,
Masarrato'n mein bhi rone lagi hain ab aankhein.!!
"Indira Varma"
No comments:
Post a Comment