Monday, July 2, 2018

Dukh Apna Agar Hum Ko Batana Nahin Aata

Dukh apna agar hum ko batana nahin aata,
Tum ko bhi to andaza lagana nahin aata...

Pahuncha hai buzurgon ke bayaanon se jo hum tak,
Kya baat hui kyun wo zamana nahin aata... 

Main bhi use khone ka hunar seekh na paaya,
Us ko bhi mujhe chhorh ke jaana nahin aata...

Is chhote zamane ke bade kaise banoge,
Logon ko jab aapas mein ladaana nahin aata...

Dhundhe hai to palkon pe chamakne ke bahane,
Aansu ko meri aankh mein aana nahin aata...

Tareekh ki aankhon mein dhuan ho gaye khud hi,
Tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...