Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye..
Jis mein insaan ko insaan banaya jaaye.!
Jis ki khushbu se mahak jaaye padosi ka bhi ghar..
Phool is qism ka har samt khilaya jaaye.!
Aag bahti hai yahaan ganga mein jhelam mein bhi..
Koi batlaye kahaan ja ke nahaya jaaye.!
Pyar ka khoon hua kyun ye samajhne ke liye..
Har andhere ko ujaale mein bulaya jaaye.!
Mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuchh aisa..
Main rahun bhookha to tujh se bhi na khaya jaaye.!
Jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise,
Mera aansu teri palkon se uthaya jaaye.!
Geet anman hai ghazal chup hai rubaai hai dukhi..
Aise maahaul mein 'Niraj' ko bulaya jaaye.!!
"Gopal Das Niraj"
No comments:
Post a Comment