Wednesday, July 25, 2018

Aadmi Chaunk Chuka Hai Magar Uttha To Nahin

Aadmi chaunk chuka hai magar uttha to nahin,
Main jise dhundh raha hun ye wo duniya to nahin..

Rooh ko dard mila dard ko aankhein na milin,
Tujh ko mahsoos kiya hai tujhe dekha to nahin..

Rang si shakl mili hai tujhe khushbu sa mizaaj,
Laala-o-gul kahin tera hi sarapa to nahin..

Chehra dekhun to khad-o-khaal badal jaate hain,
Chhup ke aaine ke peechhe koi baitha to nahin..

Phenk kar maar zameen par na zamane mujh ko,
Toot hi jaaunga jaise main khilauna to nahin..

Zindagi tujh se har ek saans pe samjhauta karun,
Shauq jeene ka hai mujh ko magar itna to nahin..

Meri aankhon mein tere naqsh-e-qadam kaise hain,
Is saraye mein musafir koi thehra to nahin..

Sochte sochte dil doobne lagta hai mera,
Zehn ki tah mein 'Muzaffar' koi dariya to nahin.!!

"Muzaffar Warsi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...