Friday, June 15, 2018

Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai

Zindagi kya hai ek kahani hai,
Ye kahani nahin sunani hai..

Hai khuda bhi ajeeb yaani jo,
Na zameeni na aasmani hai..

Hai mere shauq-e-wasl ko ye gila,
Us ka pahlu sara-e-faani hai..

Apni tameer-e-jaan-o-dil ke liye,
Apni buniyaad hum ko dhhaani hai..

Ye hai lamho'n ka ek shahr-e-azal,
Yaan ki har baat na-gahaani hai..

Chaliye ai jaan-e-shaam aaj tumhein,
Shama ek qabr par jalaani hai..

Rang ki apni baat hai warna,
Aakhirash khoon bhi to paani hai..

Ek abas ka wajood hai jis se,
Zindagi ko muraad paani hai..

Sham hai aur sahn mein dil ke,
Ek ajab huzn-e-aasmani hai.!!

"Jaun Eliya"
__________

Shauq-e-wasl = pleasure of union,
Sara-e-faani = mortal world,
Shahr-e-azal = eternal city,
Na-gahaani = unexpected, accidental,
Abas = futile, profitless, purposeless,
Muraad = wish, desire, intention, object,
Huzn-e-aasmani = sorrow of sky,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...