* Nazm *
__________
RMain shayad tum ko yaksar bhoolne waala hun,
Shayad, jaan-e-jaan shayad..
Ke ab tum mujh ko pahle se zyaada yaad aati ho,
Hai dil ghumgeen bahut ghumgeen,
Ke ab tum yaad dildaraana aati ho..
Shamim-e-door-maanda ho,
Bahut ranjeeda ho mujh se..
Magar phir bhi..
mashaam-e-jaan mein mere aashti-mandaana aati ho...
Judai mein bala ka iltifaat-e-mehramaana hai,
Qayamat ki khabar-geeri hai,
Behad naaz-bardaari ka aalam hai,
Tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jaate hain..
Main darta hun,
Mere ahsaas ke is khwab ka anjaam kya hoga,
Ye mere andarun-e-zaat ke taraaj-gar,
Jazbo!n ke bairi waqt ki saazish na ho koi..
Tumhaare is tarah har lamha yaad aane se,
Dil sahma hua sa hai..
To phir tum kam hi yaad aao,
Mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao..
Bahut kuchh bah gaya hai sail-e-maah-o-saal mein ab tak,
Sabhi kuchh to na bah jaate...
Ke mere paas rah bhi kya gaya hai,
Kuuchh to rah jaaye.!
"Jaun Eliya"
__________
Shamim-e-door-maanda = fragrance of distance, far away,
Mashaam-e-jaan = smell of body,
Aashti-mandaana = peacefully, in a reconciliatry mode,
iltifaat-e-mehramaana = secret, hidden love, platonic, love in privacy,
Khabar-geeri = keeping information, keeping track of news,
Naaz-bardaari = praising the coquetry (of)
Andarun-e-zaat = inner persona,
Taraaj-gar = plunderer,
Sail-e-maah-o-saal = stream of months and years,,
No comments:
Post a Comment