Zameen bichhaai yahaan aasman buland kiya,
Phir us ne ek sitaare ko arjumand kiya..
Ajeeb raasta khulta chala gaya mujh par,
Jab ek raat dar-e-khwab main ne band kiya..
Pukaarte the mujhe aasman magar main ne,
Qayaam karne ko ye khak-daan pasand kiya..
Ajeeb baat thi ab ke mubarazat mein 'Nadeem',
Ke mujh ko meri hazeemat ne fatah-mand kiya.!!
"Inam Nadeem"
No comments:
Post a Comment