Zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka,
Qais to apne ghar gaya kab ka..
Ab to munh apna mat dikhao mujhe,
Naaseho main sudhar gaya kab ka..
Aap ab poochhne ko aaye hain,
Dil meri jaan mar gaya kab ka..
Aap ek aur neend le lijiye,
Qaafila koich kar gaya kab ka..
Mera fihrist se nikaal do naam,
Main to khud se mukar gaya kab ka.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment