Wo khyal-e-muhaal kis ka tha,
Aaina be-misaal kis ka tha..
Safri apne aap se tha main,
Hijr kis ka wisaal kis ka tha..
Main to khud mein kahin na tha maujood,
Mere lab par sawaal kis ka tha..
Thi meri zaat ek khyal-aashob,
Jaane main hum-khyal kis ka tha..
Jab ke main har-nafas tha be-ahwaal,
Wo jo tha mera haal kis ka tha..
Dopahar baad-e-tund koocha-e-yaar,
Wo ghubaar-e-malaal kis ka tha.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment