Wednesday, June 6, 2018

Sheeshe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya

Sheeshe ka aadmi hun meri zindagi hai kya,
Patthar hain sab ke haath mein mujh ko kami hai kya..

Ab shahar mein wo phool se chehre nahin rahe,
Kaisi lagi hai aag ye basti hui hai kya..

Main jal raha hun aur koi dekhta nahin,
Aankhein hain sab ke paas magar bebasi hai kya..

Tum dost ho to mujh se zara dushmani karo,
Kuchh talkhiyan na hon to bhala dosti hai kya..

Ai gardish-e-talaash na manzil na raasta,
Mera junoon hai kya meri aawaargi hai kya..

Khush ho ke har fareb zamane ka kha liya,
Ye dil hi jaanta hai ke dil par bani hai kya..

Do bol dil ke hain jo har ek dil ko chhu sakein,
Ai 'Ashk' warna sheyr hain kya shaairi hai kya.!!

"Ibrahim Ashk"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...