Ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte,
Dard to hum ko chhupana tha sada kya karte..
Bewafaai bhi wafa hi ki tarah ki us ne,
Aise insaan se karte to gila kya karte..
Chhin gayin haath uthane se duaaen mahngi,
Hausla phir wo duaaon ka bhala kya karte..
Kuchh to aate rahe ummid ke jhonke warna,
Itna shadaab mujhe aab o hawa kya karte..
Apne meyaar se girna nahin aaya hum ko,
Apne kirdaar ko hum is se siwa kya karte..
Jab bhi aaya koi achchha hi khyaal aaya hai,
'Ashk' hum jaise zamane ka bura kya karte.!!
"Ibrahim Ashk"
No comments:
Post a Comment