Shaam-e-ghum ki sahar nahin hoti,
Ya humin ko khabar nahin hoti...
Hum ne sab dukh jahaan ke dekhe hain,
Bekali is qadar nahin hoti...
Naala yoon na-rasa nahin rahta,
Aah yoon be-asar nahin hoti...
Chaand hai kahkashan hai taare hain,
Koi shay naama-bar nahin hoti...
Ek jaan-soz o na-muraad khalish,
Is taraf hai udhar nahin hoti...
Dosto ishq hai khata lekin,
Kya khata darguzar nahin hoti...
Raat aa kar guzar bhi jaati hai,
Ek humari sahar nahin hoti...
Be-qaraari sahi nahin jaati,
Zindagi mukhtasar nahin hoti...
Ek din dekhne ko aa jaate,
Ye hawas umr bhar nahin hoti...
Husn sab ko khuda nahin deta,
Har kisi ki nazar nahin hoti...
Dil pyaala nahin gadaai ka,
Aashiqi dar-ba-dar nahin hoti.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment