Sab ko dil ke daagh dikhaye ek tujhi ko dikha na sake,
Tera daaman door nahin tha haath humin phaila na sake..
Tu ai dost kahaan le aaya chehra ye khurshid-misaal,
Seene mein aabaad karenge aankhon mein to sama na sake..
Na tujh se kuchh hum ko nisbat na tujh ko kuchh hum se kaam,
Hum ko ye maloom tha lekin dil ko ye samjha na sake..
Ab tujh se kis munh se kah dein saat samandar paar na ja,
Beech ki ek deewar bhi hum to phaand na paaye dha na sake..
Man paapi ki ujdi kheti sookhi ki sookhi hi rahi,
Umde baadal garje baadal boondein do barsa na sake.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment