Tuesday, June 5, 2018

Sab Maaya Hai

* Nazm *
__________

Sab maya hai.!
Sab dhhalti phirti chhaya hai...

Is ishq mein hum ne jo khoya jo paaya hai,
Jo tum ne kaha hai, 'Faiz' ne jo farmaya hai..

Sab maaya hai.!

Han gaahe gaahe deed ki daulat haath aai,
Ya ek wo lazzat naam hai jis ka ruswaai..

Bas is ke siwa to jo bhi sawaab kamaya hai...

Sab maaya hai.!

Ek naam to baaqi rahta hai, gar jaan nahin,
Jab dekh liya is saude mein nuqsaan nahin..

Tab shama pe dene jaan patinga aaya hai...

Sab maaya hai.!

Maloom humein sab qais miyaan ka qissa bhi,
Sab ek se hain, ye raanjha bhi ye 'Insha' bhi..

Farhad bhi jo ek nahr si khod ke laaya hai...

Sab maaya hai.!

Kyun dard ke naame likhte likhte raat karo,
Jis saat samandar paar ki naar ki baat karo..

Us naar se koi ek ne dhokha khaya hai?

Sab maaya hai.!

Jis gori par hum ek ghazal har shaam likhein,
Tum jaante ho hum kyunkar us ka naam likhein..

Dil us ki bhi chaukhat choom ke waapas aaya hai...

Sab maaya hai.!

Wo ladki bhi jo chaand-nagar ki raani thi,
Wo jis ki alhad aankhon mein hairaani thi..

Aaj us ne bhi paighaam yahi bhijwaya hai...

Sab maaya hai.!

Jo log abhi tak naam wafa ka lete hain,
Wo jaan ke dhokhe khaate, dhokhe dete hain..

Haan thok-baja kar hum ne hukm lagaya hai...

Sab maaya hai.!

Jab dekh liya har shakhs yahaan harjaai hai,
Is shahar se door ek kutiya hum ne banaai hai..

Aur us kutiya ke maathe par likhwaya hai... 

Sab maaya hai.!!

"Ibn E Insha"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...