Saare rishte tabaah kar aaya,
Dil-e-barbaad apne ghar aaya..
Aakhirash khoon thookne se miyaan,
Baat mein teri kya asar aaya..
Tha khabar mein ziyaa'n dil o jaan ka,
Har taraf se main be-khabar aaya..
Ab yahaan hosh mein kabhi apne,
Nahin aaunga main agar aaya..
Main raha umr bhar juda khud se,
Yaad main khud ko umr bhar aaya..
Wo jo dil naam ka tha ek nafar,
Aaj main is se bhi mukar aaya..
Muddaton baad ghar gaya tha main,
Jaate hi main wahaan se darr aaya.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment