Raushni si kabhi kabhi dil mein,
Manzil-e-be-nishaan se aati hai..
Laut kar noor ki kiran jaise,
Safar-e-la-makaan se aati hai..
Nau-e-insaa'n hai gosh-bar-aawaaz,
Kya khabar kis jahaan se aati hai..
Apni fariyaad baazgasht na ho,
Ek sada aasmaan se aati hai..
Takhta-e-daar hai ke takhta-e-gul,
Bu-e-khoon gulistaan se aati hai..
Dil se aati hai baat lab pe 'Hafeez',
Baat dil mein kahaan se aati hai.!!
"Hafeez Hoshiyarpuri"
__________
Gosh-bar-aawaaz = ear on sound,
Baazgasht = echo,
No comments:
Post a Comment