Friday, June 1, 2018

Rah Gayi Lut Kar Bahaar-e-zindagi

Rah gayi lut kar bahaar-e-zindagi,
Zindagi hai sogwaar-e-zindagi..

Meri nazron mein haseen dhokha hai ek,
Jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi..

Kulfatein kuchh talkhiyan kuchh haadse,
Ab yahi hai yaadgaar-e-zindagi..

Mit raha ho jo kisi ke ishq mein,
Phir kahaan us ko qaraar-e-zindagi..

Teri ulfat tera ghum tera khyaal,
Kuchh yahi hai karobaar-e-zindagi..

Apna dil hi jab paraya ho gaya,
Kaun ho ab raaz-daar-e-zindagi..

Tere dam se thi bahaaron mein bahaar,
Ab kahaan hai wo bahaar-e-zindagi..

Sookhe patton se ye kahti hai khizaa'n,
Yoon utarta hai khumaar-e-zindagi..

Apne daaman se hawa dete raho,
Bujh na jaaye ye sharaar-e-zindagi..

Ai 'Shafaq' kis ne bigada hai ise,
Kaun hai parwardigaar-e-zindagi.!!

"Gopal Krishna Shafaq"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...