Kya bataaun aaj wo mujh se juda kyunkar hua,
Muddaton ka aashna na-aashna kyunkar hua..
Tere har naqsh-e-qadam par jis ne sajda kar diya,
Teri nazron mein bhala wo bewafa kyunkar hua..
Meri barbaadi mein jis ka haath tha wo fitna-gar,
Poochhta hai ab mujhe ye haadsa kyunkar hua..
Jis ke haathon ne jalaya gulistaan ka gulistaan,
Is ka ghar bhi jal gaya to phir bura kyunkar hua..
Aadmi to aadmi ka tha shareek-e-ranj-o-ghum,
Munqata phir aaj kal ye silsila kyunkar hua..
Jis ki rahmat chand logon ke liye makhsoos ho,
Hoga kuchh logon ka wo sab ka khuda kyunkar hua..
Jab teri nazrein lagi hain kausar-o-tasneem par,
Phir bata shaikh-e-haram tu paarsa kyunkar hua..
Daar par latka diye jaate hain haq-go ai 'Shafaq',
Haq ko haq kahne ka tujh ko hausla kyunkar hua.!!
"Gopal Krishna Shafaq"
No comments:
Post a Comment