Nigaho'n mein ye kya farma gayi ho,
Meri saanso'n ke taar uljha gayi ho..
Dar-o-deewar mein hai ajnabiyat,
Main khud bhi kho gaya tum kya gayi ho..
Pareshan ho gaye tabeer se khwab,
Ke jaise kuchh badal kar aa gayi ho..
Tamanna intizaar-e-dost ke baad,
Kali jaise koi murjha gayi ho..
Ye aansu ye pashemani ka izhaar,
Mujhe ek baar phir bahka gayi ho..
'Ziya' wo zindagi kya zindagi hai,
Jise khud maut bhi thukra gayi ho.!!
"Ziya Jalandhari"
No comments:
Post a Comment