'Meer'-o-'Ghaalib' bane 'Yagana' bane,
Aadmi ai khuda, khuda na bane..
Maut ki dastaras mein kab se hain,
Zindagi ka koi bahana bane..
Apna shayad yahi tha jurm ai dost,
Ba-wafa ban ke be-wafa na bane..
Hum pe ek aitiraaz ye bhi hai,
Be-nawa ho ke be-nawa na bane..
Ye bhi apna qusoor kya kam hai,
Kisi qaatil ke hum-nawa na bane..
Kya gila sang-dil zamane ka,
Aashna hi jab aashna na bane..
Chhorh kar us gali ko ai 'Jalib',
Ek haqeeqat se hum fasana bane.!!
"Habeeb Jalib"
__________
Be-nawa = indigent, destitute, beggar,
No comments:
Post a Comment