* Nazm *
__________
Ek ludhki hui waadi mein,
Bahut neeche khalaon se,
Jahaan dhundli fazaon ka chalan hai,
Khasta sa ek makaan mujh ko wirasat mein mila hai,
Jis tarah sookh ke zakhmon se gira karti hai papdi,
Us ki deewaron se is tarah se girta hai plastar,
Ek paanw pe khade saare sutoin thak se gaye hain,
Khurda daanton ki tarah hilti hain har taaq mein eenten,
Moch khaai hui kuchh khidkiyan tirchhi si khadi hain,
Kaanch dhundlaye hue chatkhe hue,
Pahle baahar ki taraf khulti thin aflaak ki jaanib,
Ab ye andar bhi nahin khultin agar saans ghute,
Abr-aalood hain ab,
Aur hawaon mein bhi suraakh pade hain,
Mera paidaaishi ghar hai mujhe rahna hai yahin par,
Ek maila sa falak hai to mere sar pe abhi tak,
Darta hun gir na pade sote mein ek roz kahin.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment