Mahsoos karoge to guzar jaoge jaan se,
Wo haal hai andar se ke baahar hai bayaan se..
Wahshat ka ye aalam ke pas-e-chaak garebaan,
Ranjish hai bahaaron se ulajhte hain khizaa'n se,
Ek umr hui us ke dar-o-baam ko takte,
Aawaz koi aai yahaan se na wahaan se..
Uthte hain to dil baithne lagta hai sar-e-bazm,
Baithe hain to ab mar ke hi uthenge yahaan se..
Har mod pe wa hain meri aankhon ke dareeche,
Ab dekhna ye hai ke wo jaata hai kahaan se..
Kya naawak-e-mizhgaa'n se rakhein zakhm ki ummid,
Chalte hain yahaan teer kisi aur kamaan se..
Aankhon se ayaan hota hai aalam mere dil ka,
Matlab hai is aalam ko zabaan se na bayaan se.!!
"Jawed Saba"
__________
Naawak-e-mizhgaa'n = arrow of eyelashes,
No comments:
Post a Comment