Wednesday, June 13, 2018

Lamhe Lamhe Ki Na-rasaai Hai

Lamhe lamhe ki na-rasaai hai,
Zindagi haalat-e-judaai hai..

Mard-e-maidaan hun apni zaat ka main, 
Main ne sab se shikast khaai hai..

Ek ajab haal hai ke ab us ko,
Yaad karna bhi bewafaai hai..

Ab ye surat hai jaan-e-jaan ke tujhe,
Bhoolne mein meri bhalaai hai..

Khud ko bhoola hun us ko bhoola hun,
Umr bhar ki yahi kamaai hai..

Main hunar-mand-e-rang hun main ne,
Khoon thooka hai daad paai hai..

Jaane ye tere wasl ke hangaam,
Teri furqat kahaan se aai hai.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...