Monday, June 4, 2018

Kuchh Is Tarah Se Nazar Se Guzar Gaya Koi

Kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi,
Ke dil ko ghum ka saza-waar kar gaya koi..

Dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh hua hi nahin,
Khud apne husn se yoon be-khabar gaya koi..

Wo ek jalwa-e-sad-rang ek hujoom-e-bahaar,
Na jaane kaun tha jaane kidhar gaya koi..

Nazar ke tishna-e-deedar thi rahi mahroom,
Nazar uthaai to dil mein utar gaya koi..

Nigaah-e-shauq ki mahroomiyon se na-waaqif,
Nigaah-e-shauq pe ilzaam dhar gaya koi..

Ab un ke husn mein husn-e-nazar bhi shaamil hai,
Kuchh aur meri nazar se sanwar gaya koi..

Kisi ke paanw ki aahat ke dil ki dhadkan thi,
Hazaar baar utha su-e-dar gaya koi..

Naseeb-e-ahl-e-wafa ye sukoon-e-dil to na tha,
Zaroor naala-e-dil be-asar gaya koi..

Utha phir aaj mere dil mein rashk ka tufaan,
Phir un ki raah se ba-chashm-e-tar gaya koi..

Ye kah ke yaad karenge 'Hafeez' dost mujhe,
Wafa ki rasm ko paainda kar gaya koi.!!

"Hafeez Hoshiyarpuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...