Karaahte hue insaan ki sada hum hain,
Main sochta hun meri jaan aur kya hum hain..
Jo aaj tak nahin pahunchi khuda ke kaano'n tak,
Sar-e-dayaar-e-sitam aah-e-na'rasa hum hain..
Tabahiyon ko muqaddar samajh ke hain khamosh,
Humara ghum na karo dard-e-la-dawa hum hain..
Kahaan nigaah se guzarte hain dukh bhare dehaat,
Haseen shahron ke hi ghum mein mubtala hum hain.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment