Jab dahr ke ghum se amaa'n na mili hum logon ne ishq ijaad kiya,
Kabhi shahar-e-butaa'n mein kharaab phire kabhi dasht-e-junoon aabaad kiya..
Kabhi bastiyan ban kabhi koh-o-daman raha kitne dinon yahi ji ka chalan,
Jahaan husn mila wahaan baith rahe jahaan pyaar mila wahaan saad kiya..
Shab-e-maah mein jab bhi ye dard utha kabhi bait kahe likhi chand-nagar,
Kabhi koh se ja sar phod mare kabhi qais ko ja ustaad kiya..
Yahi ishq bil-aakhir rog bana ke hai chaah ke saath ba-jog bana,
Jise banna tha aish wo sog bana bada man ke nagar mein fasaad kiya..
Ab qurbat-o-sohbat-e-yaar kahaan lab o aariz o zulf o kanaar kahaan,
Ab apna bhi 'Meer' sa aalam hai tuk dekh liya ji shaad kiya.!!
"Ibn E Insha"
No comments:
Post a Comment