Sunday, July 1, 2018

Ise Bhi Chhorhun Use Bhi Chhorhun Tumhein Sabhi Se Hi Mas'ala Hai

Ise bhi chhorhun use bhi chhorhun tumhein sabhi se hi mas'ala hai,

Meri samajh se to baala-tar hai ye pyar hai ya muaahida hai...

"Jo tu nahin thi to aur bhi the jo tu na hogi to aur honge", 

Kisi ke dil ko jala ke kahte ho meri jaan ye muhawara hai...

Hum aaj qaus-e-quzah ke maanind ek dooje pe khil rahe hain,

Mujhe to pahle se lag raha tha ye aasmanon ka silsila hai...

Wo apne apne tamaam saathi, tamaam mahboob le ke aayen,

To mere haathon mein haath de de humein bhi izn-e-mubahla hai...

Are o jaao! yoon sar na khao! humara us se muqabla kya?

Na wo zaheen-o-fateen yaaro na wo haseen hai na shayera hai.!!

"Fariha Naqwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...