Beete khwab ki aadi aankhein kaun unhein samjhaye,
Har aahat par dil yoon dhadke jaise tum ho aaye...
Zid mein aa kar chhod rahi hai un baanhon ke saaye,
Jal jaayegi mom ki gudiya duniya dhoop-saraye...
Shaam hui to ghar ki har ek shay par aa kar jhapte,
Aangan ki dahleez pe baithe veeraani ke saaye...
Har ek dhadkan dard ki gahri tees mein dhhal jaati hai,
Raat gaye jab yaad ka panchhi apne par phailaye...
Andar aisa habs tha main ne khol diya darwaza,
Jis ne dil se jaana hai wo khamoshi se jaaye...
Kis kis phool ki shadaabi ko maskh karoge bolo,
Ye to us ki den hai jis ko chaahe wo mahkaye.!!
"Fariha Naqwi"
__________
Habs = suffocation,
Maskh = distortion, mutilation,
No comments:
Post a Comment