Doobne waalo hawaon ka hunar kaisa laga,
Ye kinara ye samandar ye bhanwar kaisa laga..
Ponchhte jaaiye daaman se lahu maathe ka,
Sochte jaaiye deewar ko sar kaisa laga..
Hat gayi chhaanw magar log wahin baithe hain,
Dasht ki dhoop mein jaane wo shajar kaisa laga..
Dar-o-deewar hain main hun meri tanhaai hai,
Chandni raat se poochho mera ghar kaisa laga..
Is se pahle kabhi ponchhe the kisi ne aansu,
Un ka daaman tujhe ai deeda-e-tar kaisa laga..
Sahl thin marhala-e-tark-e-wafa tak raahein,
Is se aage koi poochhe ke safar kaisa laga..
Aankh se dekh liya tark-e-watan ka manzar,
Ghar jahaan chhorh gaye the wo khandar kaisa laga..
Wo mujhe sun ke badi der se chup hai 'Qaisar',
Jaane us ko meri ghazlon ka hunar kaisa laga.!!
"Qaisar-ul-jafri"
No comments:
Post a Comment