Dhuan bana ke faza mein uda diya mujh ko,
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko..
Taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko,
Abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko..
Main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
Hawa ne thaam ke zameen par gira diya mujh ko..
Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par,
Faseel-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko..
Khada hun aaj bhi roti ke chaar harf liye,
Sawaal ye hai kitaabon ne kya diya mujh ko..
Na jaane kaun sa jazba tha jis ne khud hi 'Nazeer',
Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko.!!
"Nazeer Baaqri"
No comments:
Post a Comment